kab tabiat ko ras aae hain ye jo dil par ghamon ke sae hain rahzanon se nahin koi shikwa rahbaron se fareb khae hain sard raaton mein sard aahon ne ashk aankhon hi mein jamae hain chandni ne safed makhmal par aaj jadu kai jagae hain haif ye niyyaton ke khote log aap hi apna ghar jalae hain waqt ki kya sitam-zarifi hai jo the apne wahi parae hain meri himmat ko marhaba kahiye aandhiyon mein diye jalae hain 'naz' tariki-e-tawahhum mein ilm hi ne diye jalae hain