hum bhi ek zamane tak hadson se khele hain gham uthae hain paiham dard hum ne jhele hain uf ye dasht-paimai uf ye aabla-pai jada-e-mohabbat mein kis qadar jhamele hain tum se dil lagane ki ye saza mili mujh ko ranj-o-gham ki yurish hai hasraton ke rele hain do dilon ko aae to kis tarah qarar aae tum wahan akeli ho hum yahan akele hain dekh kar mera chehra ab nazar churaati ho yaad hoga bachpan mein donon sath khele hain ek gharaunda mitti ka jo kabhi banaya tha aaj mere hathon mein us ke chand dhele hain ruh mutmain ho aur dil ho dard se khali phir to jis taraf dekho zindagi ke mele hain