kab tak karenge jabr dil-e-na-subur par musa to ja ke baith rahe koh-e-tur par koi mujhe batae ki ab kya jawab dun wo mujh se uzr karte hain mere qusur par talib hain jo tere unhen jannat se kya gharaz padti nahin hai aankh shahidon ki hur par jalwa dikhaiye hamein bas uzr ho chuka jalne ke waste nahin aae hain tur par zahid bhi is zamane ke aashiq mizaj hain jite hain us ko dekh ke marte hain hur par ghar kar gain na dil mein meri khaksariyan nazan the aap bhi bahut apne ghurur par bakhshe gae na hum se jo do-chaar baada-khwar bhinkengi makkhiyan hain sharab-e-tuhur par kuchh shokhiyon ke rang bhi betabiyon mein hain kis ki nazar padi hai dil-e-na-subur par zahid ki tarah hum ko bhi jannat ki hai talash apna bhi aa gaya hai dil ek rashk-e-hur par rakkhe kahin ye shauq-e-rihai mujhe na qaid tadpa agar yahin to rahenge zarur par 'bekhud' na dhund koi wasila najat ka ye munhasir hai rahmat-e-rabb-e-ghafur par