nam bhi achchha sa tha chehra bhi tha mahtab sa han hamein kuchh yaad hota hai magar kuchh khwab sa ye mere sine mein dil rakkha hai ya koi chakor chandni raaton mein kyun rahta hun main betab sa ho gaya kis zikr se ye murtaish sara wajud tar-e-saz-e-dil pe aakhir kya laga mizrab sa kuchh kitaben aur qalam kaghaz ke kuchh purzon pe sher mere ghar mein hai yahi bas qimti asbab sa panw rakhte hi baha kar le gaya sailab mein dur se lagta tha jo dariya hamein payab sa is tarah ke kuchh hawari sath isa ke bhi the jis tarah hai gird mere halqa-e-ahbab sa aasman par aankh suraj ki na bujh jae kahin hai zamin par raushni ka is qadar sailab sa