kab tak tu imtihan mein mujh se juda rahega jita hun to tujhi mein ye dil laga rahega yan hijr aur hum mein bigdi hai kab ki sohbat zakhm-e-dil-o-namak mein kab tak maza rahega tu barson mein mile hai yan fikr ye rahe hai ji jaega hamara ik-dam ko ya rahega mere na hone ka to hai iztirab yun hi aaya hai ji labon par ab kya hai ja rahega ghafil na rahiyo hargiz nadan dagh-e-dil se bhadkega jab ye shoala tab ghar jala rahega marne pe apne mat ja salik talab mein us ki go sar ko kho rahega par us ko pa rahega umr-e-aziz sari dil hi ke gham mein guzri bimar aashiqi ye kis din bhala rahega didar ka to wada mahshar mein dekh kar kar bimar gham mein tere tab tak to kya rahega kya hai jo uth gaya hai par basta-e-wafa hai qaid-e-hayat mein hai tu 'mir' aa rahega