makhluq hun ya khaliq-e-makhluq-numa hun malum nahin mujh ko ki main kaun hun kya hun hun shahid-e-tanzih ke rukhsar ka parda ya khud hi mushahid hun ki parde mein chhupa hun hai mujh se gareban-e-gul-e-subh moattar main itr-e-nasim-e-chaman o baad-e-saba hun gosh-e-shunwa ho to mere ramz ko samjhe haq ye hai ki main saz-e-haqiqat ki nawa hun hasti ko meri hasti-e-alam na samajhna hun hast to par hasti-e-alam se juda hun hun sina-e-ushshaq mein soz-e-jigar-o-dil aur dida-e-mashuqan mein kya naz-o-ada hun ye kya hai ki mujh par mera uqda nahin khulta har-chand ki khud uqda o khud uqda-kusha hun ai 'mushafi' shanen hain meri jalwagari mein har rang mein main mazhar-e-asar-e-khuda hun