kab talak hum ko na aawega nazar dekhen to kaise tarsata hai ye dida-e-tar dekhen to ishq mein us ke ki guzre hain sar o jaan se hum apni kis taur se hoti hai guzar dekhen to kar ke wo jaur-o-sitam hans ke laga ye kahne aah o afghan ka teri hum bhi asar dekhen to sabr ho sakta hai kab hum se wale maslahatan aazmaish dil-e-betab ki kar dekhen to dhab chadhe ho mere tum aaj hi to muddat baad jaenge aap kahan aur kidhar dekhen to kis dileri se kare hai tu fida jaan us par dil-e-jaan-baz tera hum bhi hunar dekhen to kya majal apni jo kuchh kah saken hum tujh se aur tujh ko bhar kar nazar ai shokh pisar dekhen to ho chalin khira to akhtar-shumari se aankhen shab hamari bhi kabhi hogi sahar dekhen to ishq ke sadme uthane nahin aasan 'hasrat' kar sake koi hamara sa jigar dekhen to