kab talak piwega tu tar-damanon se mil ke mul

kab talak piwega tu tar-damanon se mil ke mul
ek dam ai ghuncha-lab hum se kabhi to khil ke khul

be-sar-o-bargon ko kya nisbat hai sair-e-bagh se
dagh-e-dil hain hum tahi-dastan-e-pa dar-gil ke gul

us ki jang-e-be-sabab ka hai taghaful hi ilaj
aap dhela ho ke aawega idhar dhal dhal ke dhul

zer-e-abru is tarah mizhgan nahin rahti mudam
sar pe mere jun rahe hai tegh us qatil ki tul

rabt kuchh bazm-e-mashaekh se nahin rindon ke tain
kab liye ye mast saghar ke siwa qulqul ki qul

ho sake to bakhiya o marham ka yaro waqt hai
jaan na jawe is tan-e-majruh mein ghael ke ghul

ba-qad-e-kham-gashta hun rone se nit ke main kharab
mauj-e-dariya todte hain jis tarah pil pil ke pul

chille ki manind khinchun jab talak bar mein na tang
kab mite hai us but-e-harjai-e-chanchal ki chul

daur mein us zulf ke hai bas ki diwanon ki dhum
sunta hun chaaron taraf se main sada-e-ghul ke ghul

'hasrat' us ke dam mein phansna muqaddar tha mera
the meri nazron mein to pech-o-kham us kakul ke kul


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close