kab tere dard se dil ye be-kal na tha aisi koi bhi saat koi pal na tha ham-nashin jis jagah qatl mera hua aashiyan tha mera koi maqtal na tha us ki ulfat ne ye moajiza kar diya dil kisi ke liye itna pagal na tha umr-bhar panw mein aable hi rahe zindagi mein kahin farsh-e-makhmal na tha khun insaf ka ho raha chaar-su silsila jabr ka yun musalsal na tha har nafas yaad us ki satati rahi hijr ka faisla bhi mukammal na tha teri sharm-o-haya teri pahchan hai 'shama' mathe pe kyon tera aanchal na tha