jagti hun main raat-bhar tanha zindagi ho rahi basar tanha zindagi ke ajab do-rahe par kar gaya mujh ko rahbar tanha sari khushiyan to aarzi hain magar hai faqat dard-e-mo'atabar tanha kitne tare falak pe hain lekin chand karta hai kyon safar tanha qafile manzilon pe ja pahunche rah gai dil ki rahguzar tanha khwab palkon pe so gae sare jagti rah gai nazar tanha shama khushiyan to bant deti hun ashk piti hun main magar tanha