kab zulf-e-dota un ki pareshan nahin hai kab wahshat-e-dil ka meri saman nahin hai yaadon ko lagae hue sine se guzar ja ye rah-e-mohabbat hai kuchh aasan nahin hai duniya mein mujhe daulat-e-jawed hai hasil kya dil mein mere aap ka arman nahin hai ai baada-kasho zarf ki kuchh baat karo aaj saqi ka yahan aam ab ehsan nahin hai kya puchhte ho tamkanat-e-husn ka aalam ab jaise karam ka koi imkan nahin hai kuchh roz se har neshtar-e-gham hai gawara kya ye nigah-e-mast ka ehsan nahin hai arman umang hausla ummid bhi is mein kashana-e-dil dosto viran nahin hai yun milte hain mujh se wo sar-e-bazm 'jamali' jaise meri un se koi pahchan nahin hai