zindagi ka hai ye bhi koi dhang na koi aarzu na koi umang hosh ka tur ya khirad ka rang aashiqi ke liye hain donon nang aql hairan hai aur fikr hai dang jalwa aur wo bhi sar-ba-sar be-rang sulh-e-kul ishq ka har ek andaz husn ki har ada payam-e-jang abhi jite hain ahrman-zade abhi barpa hai khair-o-shar ki jang allah allah ye husn ka aalam phul jaise khile hon ranga-rang qahqahe un ke sagharon ki khanak muskurahat tulu-e-subh ka rang kitni rangin hai ghazal teri bandh gaya bazm mein 'jamali' rang