kabe ka pata aur kalisa ka nishan aur ye kya ki wahi baat yahan aur wahan aur mathe pe badha lijiye jhumar ke nishan aur ban jaegi gardun ke liye kahkashan aur paya tha hamare hi dil-e-zar ka tukda aaina banaya tha sikandar ne kahan aur main ne na banaya kabhi mumtaz ka rauza thi meri khalish aur gham-e-shah-jahan aur jari rahe sar-garmi-e-alfaz-o-maani han soz-e-bayan soz-e-bayan soz-e-bayan aur 'shadan' kabhi dekhe to tadap jae zamana hote hain gham-e-dil ki salibon ke nishan aur