mera KHayal pareshan hai mera ghar tanha

mera khayal pareshan hai mera ghar tanha
na jaiye mujhe aise mein chhod kar tanha

sahar se sham ke ye fasle nahin katte
udhar hai sham akeli idhar sahar tanha

qarib rah ke bhi sadiyon ka fasla hai abhi
main kis qadar hun tere sath kis qadar tanha

hamare sath hai duniya hamare sath chalen
janab-e-khizr na bhatken idhar-udhar tanha

wo ek lamha nahin jo tere tasawwur mein
laraz raha hai charagh-e-khayal par tanha

hawa khamosh safina nidhaal dil zakhmi
khada hai pani mein 'shadan' kamar kamar tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close