kabe ka tamannai hai koi mushtaq koi but-khane ka in aql ke diwane se juda aalam hai tere diwane ka naseh tu nasihat dil ko na kar mauqa ye nahin samjhane ka jaana hai su-e-bazm-e-jaanan ek soz liye parwane ka is rang-birangi duniya mein aaram-o-sukun ka nam nahin diwanon ke dil se to puchho kya aalam hai virane ka ek aalam-e-kaif-o-masti mein dakhil jo hue maikhane mein saqi ko kiya sajda jhuk kar munh chum liya paimane ka kah do ye faraghat walon se duniya mein sanbhal kar rahna hai kal tak jo yahan aasuda tha muhtaj hai dane dane ka sab muft ganwaya pas jo tha ab 'zabt' chalo tum apne ghar ji bhar ke tamasha dekh chuke duniya ke ajaib-khane ka