kaha jo un se ki ab be-qarar hum bhi hain

kaha jo un se ki ab be-qarar hum bhi hain
to hans ke kahte hain be-ikhtiyar hum bhi hain

bahaar-e-gulshan-e-hasti se ho ke begana
asir-e-dam-e-gham-e-rozgar hum bhi hain

habab maujon pe ubhra to aah bhar ke kaha
rahin-e-hasti-e-na-paedar hum bhi hain

hasin manazir-e-fitrat ke dekhne walo
fida-e-sanat-e-parwardigar hum bhi hain

badha de jam-e-mohabbat idhar bhi ai saqi
nigah-e-lutf ke umid-war hum bhi hain

gali ko un ki gulistan bana diya hum ne
ba-rang-e-mauj-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain

guzar chuke hain jidhar se musafiran-e-adam
rawan udhar hi sar-e-rahguzar hum bhi hain

jo qafile mein nahin hain to ye bhi kya kam hai
ki rah-e-ishq mein musht-e-ghubar hum bhi hain

buton ke ishq mein barbaad ho gae lekin
jahan-e-ishq ki ek yaadgar hum bhi hain

zahe-nasib ada ho rahi hai rasm-e-wafa
wo sharmsar hain to ashk-bar hum bhi hain

kabhi na hum ne harifon ka eatibar kiya
nigah-e-ghair mein be-e'tibar hum bhi hain

wo aankh utha ke na dekhen hamein to kya gham hai
ki un ki bazm mein begana-war hum bhi hain

tasawwuraat ki ranginiyan hain pesh-e-nazar
chaman mein 'zabt' ba-rang-e-bahaar hum bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close