kabe ki hai hawas kabhi ku-e-butan ki hai mujh ko khabar nahin meri mitti kahan ki hai sun ke mera fasana unhen lutf aa gaya sunta hun ab ki roz talab qissa-khwan ki hai paigham-bar ki baat par aapas mein ranj kya meri zaban ki hai na tumhaari zaban ki hai kuchh tazgi ho lazzat-e-azar ke liye har dam mujhe talash nae aasman ki hai jaan-bar bhi ho gae hain bahut mujh se nim-jaan kya gham hai ai tabib jo puri wahan ki hai hasrat baras rahi hai hamare mazar par kahte hain sab ye qabr kisi naujawan ki hai waqt-e-khiram-e-naz dikha do juda juda ye chaal hashr ki ye rawish aasman ki hai fursat kahan ki hum se kisi waqt tu mile din ghair ka hai raat tere pasban ki hai qasid ki guftugu se tasalli ho kis tarah chhupti nahin wo baat jo teri zaban ki hai jaur-e-raqib o zulm-e-falak ka nahin khayal tashwish ek khatir-e-na-mehrban ki hai sun kar mera fasana-e-gham us ne ye kaha ho jae jhut sach yahi khubi bayan ki hai daman sambhaal bandh kamar aastin chadha khanjar nikal dil mein agar imtihan ki hai har har nafas mein dil se nikalne laga ghubar kya jaane gard-e-rah ye kis karwan ki hai kyunki na aate khuld se aadam zamin par mauzun wahin wo khub hai jo sunte jahan ki hai taqdir se ye puchh raha hun ki ishq mein tadbir koi bhi sitam-e-na-gahan ki hai urdu hai jis ka nam hamin jaante hain 'dagh' hindostan mein dhum hamari zaban ki hai