kabe mein jaan-ba-lab the hum duri-e-butan se aae hain phir ke yaro ab ke khuda ke han se taswir ke se tair khamosh rahte hain hum ji kuchh uchat gaya hai ab nala o fughan se jab kaundti hai bijli tab jaanib-e-gulistan rakhti hai chhed mere khashak-e-ashiyan se kya khubi us ke munh ki ai ghuncha naql kariye tu to na bol zalim bu aati hai wahan se aankhon hi mein rahe ho dil se nahin gae ho hairan hun ye shokhi aai tumhein kahan se sabzan-e-bagh sare dekhe hue hain apne dilchasp kahe ko hain us bewafa jawan se ki shust-o-shobadan ki jis din bahut si un ne dhoe the hath main ne us din hi apni jaan se khamoshi hi mein hum ne dekhi hai maslahat ab har yak se haal dil ka muddat kaha zaban se itni bhi bad-mizaji har lahza 'mir' tum ko uljhaw hai zamin se jhagda hai aasman se