mauj-e-nikhat ki saba dekh sawari tayyar khar se ki hai gul-e-tar ne katari tayyar kah do majnun se kare apni sawari tayyar aaj yan hoti hai laila ki sawari tayyar hath donon kaf-e-afsos ki surat likkhe ki jo naqqash ne taswir hamari tayyar tegh ko san pe rakkha tha tabhi qatil ne gardan apni na hui thi abhi sari tayyar lab-e-jaan-bakhsh ki tere jo safa ko dekhe aab-e-haiwan ho pae-aina-dari tayyar kis misi zeb ka gulshan se suna hai jaana barg-e-sausan ne jo phir ki hai katari tayyar hum subuk-ruh asiron ke liye lazim hai qafas-e-gul ko kare baad-e-bahaari tayyar haar kyun us ke gale ka main na hun zar-gar ne ki hai zanjir gale ki tere bhaari tayyar ai ajal zist ka kya un se tu mange hai hisab jo hain har dam pae-anfas-shumari tayyar surkh nefe se pae-said-e-dil-e-bul-hawasan kamar us ki hui jun yuz shikari tayyar jun jun badhte hain mere dast-e-junun ke nakhun wun wun hote hain pae-sina-figari tayyar putliyan jae sitaron ki tiki hain is mein dida-rezi se hui kafash tumhaari tayyar ho khajil kyunki na neman ki gulabi lala mai se karti hai teri chashm-e-khumari tayyar az-barae-kamar-e-nazuk-e-rashk-e-rag-e-gul baghban kijo tu phulon ki katari tayyar likh ba-tabdil-e-qawafi ghazal ek 'mushafi' aur nafa-e-nuqta se kar mushk-e-tatari tayyar