kabhi aabaad virane na hote agar duniya mein diwane na hote na hota shama ka yun nam raushan agar jaanbaz parwane na hote junun ki had ko pa lena tha mushkil agar hushiyar diwane na hote agar dar-parda kuchh baaten na hotin to ye dilchasp afsane na hote agar pyason ko milta jam saqi to yun badnam maikhane na hote agar rakhte na hum irfan-e-wahdat to but-khane khuda-khane na hote junun ka hausla hargiz na badhta jo gulshan aur virane na hote ghanimat hai hamari zat saqi na hum hote to maikhane na hote inhen ai 'soz' kuchh hona hi padta ye diwane jo diwane na hote