kabhi aahen kabhi nale kabhi aansu nikle un se aaghaz-e-sukhan ke kai pahlu nikle yun bhi wo bazm-e-tasawwur se guzar jate hain jaise lai saz se ya phul se khushbu nikle hai is ummid pe saiqal hunar-e-tesha-zani sina-e-sang se shayad koi gul-ru nikle qissa-e-dar-o-rasan hi sahi kuchh baat karo kisi unwan se to zikr-e-qad-o-gesu nikle gham-e-dauran ne kiya ahl-e-tamanna ka wo haal dasht se jaise hirasan koi aahu nikle hum jinhen 'hosh' tajahul se khata samjhe the nawak-e-naz wo sab dil mein taraazu nikle