wasl mein raftar-e-mashuqana dikhlati hai nind aaj kin atkheliyon se aankhon mein aati hai nind yaad-e-chashm-e-surmagin mein shab ko gar aati hai nind surat-e-murgh-e-nigah aankhon se ud jati hai nind furqat-e-dildar mein sahwan agar aati hai nind aankh se bahar hi bahar aa ke phir jati hai nind ain be-hoshi hai hushyari na samjha chahiye ahl-e-ghaflat ki to bedari bhi kahlati hai nind karwaten le le ke kahte hain shab-e-furqat mein hum kis tarah ai khuftagan-e-khak aa jati hai nind in ki furqat mein na puchho sarguzisht-e-khwab-e-chashm aaj-kal pa-e-nigah ki thokaren khati hai nind sabza-e-khwabida-e-gulshan ka jab aata hai zikr tab qafas mein koi dam bulbul ko aa jati hai nind furqat-e-dildar mein sone ko marna kahte hain aashiqon mein khwab-e-marg aise hi kahlati hai nind nind ko bhi nind aa jati hai hijr-e-yar mein chhod kar be-khwab mujh ko aap so jati hai nind kahte hain sona use chaunka na roz-e-hashr tak is hamari bakht-e-khufta ki qasam khati hai nind kya ghalat samjhe wo aaega phadakti hai jo aankh aankh mein khauf-e-shab-e-furqat se tharraati hai nind furqat-e-dildar mein jo raat bhar aai na thi wasl mein aati hui aankhon sharmati hai nind muntazir rakhti hai ghamze karti hai aati nahin o but-e-tarsa teri furqat mein tarsati hai nind ku-e-jaanan se jo uthta hun to so jate hain panw dafatan aankhon se panw mein utar aati hai nind garmi-e-soz-e-jigar betab kar deti hai jab thandi sansen aisi bharta hun ki aa jati hai nind tegh ka phal khaya aab-e-tegh pi kar so rahe kasrat-e-ab-o-ghiza se waqai aati hai nind surat-e-zahid na jago hazrat-e-dil so raho qibla-e-man kaba-e-maqsud dikhlati hai nind is meri diwangi par ai junun patthar paden aankh ke dhele lagata hun agar aati hai nind wah re tasir-e-ulfat bal be-fart-e-ittihad ghash pe ghash aate hain mujh ko jab unhen aati hai nind sote ho to chashm-e-baddur aankhen rahti hain khuli fitna-e-bedar kya aise hi kahlati hai nind hijr mein sone ki aisi hi tamanna ai 'wazir' dekhta hun us ko hasrat se jise aati hi nind