kabhi andar kabhi duniya se bahar dekh leta hun main aankhen band kar ke sare manzar dekh leta hun kabhi bichhde hue lamhat ke pichhe nahin jata magar main jaane walon ko palat kar dekh leta hun ye kaisi barf si palkon ke upar jamti rahti hai pighalti hai to aankhon mein samundar dekh leta hun bulandi aur pasti mein kahan tak farq hota hai kisi kohsar se niche utar kar dekh leta hun shikari jab kabhi tarkash liye ghar se nikalte hain hawa ke dosh par tute hue par dekh leta hun suna hai tum safar mein raushni taqsim karte ho kisi din main tumhaare sath chal kar dekh leta hun