kabhi andhera kabhi ujala suno ghazala koi kinaya koi kinara suno ghazala hum apne raste se hat gae hain bhatak gae hain na koi sahra na koi dariya suno ghazala mere badan mein dhadak raha hai tadap raha hai firaq lamhon ka dard sara suno ghazala badalte mausam ke rang sare na tum hamare na ab ye suraj na chand haala suno ghazala na ji rahe hain na mar rahe hain sisak rahe hain ujad aankhen ujad chehra suno ghazala meri nazar mein chamak raha hai damak raha hai jahan hai jugnu jidhar hai tara suno ghazala hamari khidki se dur hat ke zara simat ke kahin charaghan kahin sawera suno ghazala tujhe to jaana tha ja chuki ho mujhe yaqin hai badal raha hun main ab thikana suno ghazala na tum hamare na hum tumhaare hain jhut sare suno ghazala suno ghazala suno ghazala ye kaisi ulfat ka khel hum ne hamesha khela na koi jita na koi haara suno ghazala mere safar mein ye dhup chhanw nai nahin hai wahin hai jangal jahan hai rasta suno ghazala