kabhi asar na mere harf-e-muddaa mein raha na ikhtiyar koi dast-e-na-rasa mein raha nasib-e-dukhtar-e-hawwa jafa-o-jaur-o-sitam shumar husn-o-nazakat mein aur wafa mein raha amir-e-shahr ki tha zoam-e-eqtidar mein gum gharib-e-shahr sada jabr-e-narawa mein raha utar gaya rag-o-pai mein wo zahr ki manind misal-e-shahd jo ek shakhs ibtida mein raha main ho saki na kabhi apni zat tak mahdud har ek phul chaman ka meri dua mein raha main wo mariz hun jis ke liye na koi asar kisi ke harf-e-tasalli mein aur dua mein raha wo mujh ko dekh ke karta raha hai an-dekha ajib tarz-e-taghaful bhi e'tina mein raha