naghma-e-zist gungunae kaun aagahi ka azab uthae kaun donon raazi to hain sulh ke liye par ana hai ki pahle aae kaun lakh dushman ne marna chaha jis ko rakkhe khuda mitae kaun ji mein aata hai us se baat karen baat apni magar banae kaun us ne wade to be-shumar kiye apne wade magar nibhae kaun dil ki basti mein koi kya aae ye jo ujde to phir basae kaun aankh mein kirchiyan hain pahle hi khwab ab ke nae sajae kaun jo kisi ki dua mein shamil ho hath us ke liye uthae kaun jab talluq hi tark kar baithe kaun rutha kare manae kaun jo hue hain juda irade se aise bichhdon ko phir milae kaun 'tahira' an-kahi hi rahne do dil ki baaten tumhaari pae kaun