kabhi bahut hai kabhi dhyan tera kuchh kam hai

kabhi bahut hai kabhi dhyan tera kuchh kam hai
kabhi hawa hai kabhi aandhiyon ka mausam hai

abhi na toda gaya mujh se qaid-e-hasti ko
abhi sharab-e-junun ka nasha bhi maddham hai

ki jaise sath tere zindagi guzarti ho
tera khayal mere sath aaise paiham hai

tamam fikr-e-zaman-o-makan se chhut gai
siyah-kari-e-dil mujh ko aisa marham hai

main khud musafir-e-dil hun use na rokungi
wo khud thahar na sakega jo qaidi-e-gham hai

wo shauq-e-tez-rawi hai ki dekhta hai jahan
zamin pe aag lagi aasaman barham hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close