kabhi bhanwar thi jo ek yaad ab sunami hai magar ye kya ki mujhe ab bhi tishna-kaami hai main us pe jaan chhidakta hun ba-khuda phir bhi kahin hai kuchh mare bhitar jo intiqami hai magar jo wo hai wahi hai bhala kahan koi aur hazar aib sahi mana lakh khami hai jo ji mein aaya wahi minn-o-an hai kaghaz par na socha samjha sa kuchh aur na ehtimami hai kisi ke rang ranga main na mere rang koi ye ibtidai naya dhab to ikhtitami hai mulahiza ho kahun kyun tawajjoh kyun chahun kalam kab hai mera sher khud-kalami hai main apni monchhon pe dun taw bhi to kis munh se yahan to jo bhi hai mujh se bada harami hai