panw se lipatti hai kis ke khwab ki duniya kyon mujhe bulati hai phir gulab ki duniya apni khush-nasibi hain khud ko rok rakkhe hain warna khinch leti hai ye sharab ki duniya kho diya hai kya hum ne aur kya mila hum ko kyon hisab mein rakkhen be-hisab ki duniya jo padha likha hum ne wo nazar nahin aaya kitni be-murawwat hai ye kitab ki duniya raat to andhere mein be-libas rahti hai par sukun deti hai ye naqab ki duniya