kabhi bhulaya nahin yaad bhi kiya nahin hai ye kaisa jurm hai jis mein koi saza nahin hai main baat baat pe rone ka majra puchhun wo hans raha hai batane ko kuchh raha nahin hai zamin pe aah-o-buka aur khun-e-nahaq bhi zaban-e-khalq ye puchhe hai kya khuda nahin hai kalam karne ko naseh raha na waiz hai main kya kahun ki mere pas bad-dua nahin hai bas ab to aankh mein sahra hi jam gaya aa ke samajh lo khwab bhi dahliz pe rakha nahin hai qadam qadam pe wahi tilmilati khwahish hai payam lane ko koi bhi dilruba nahin hai meri udasi mere kaam aa saki na kabhi bas ab sawal bhi karne ka hausla nahin hai raqib-e-khwahish-e-maujuda sun liya tu ne chaman bahut hain magar koi dekhta nahin hai