wafa-shiar ko tu ne zalil-o-khwar kiya jafa-parast ye kya shewa ikhtiyar kiya uthae se na utha dil ka parda-e-ghaflat khata hui ki un aankhon pe eatibar kiya nigah-e-mast-e-haqiqat to de chuki thi jawab magar ye dil hi tha phir us ne hoshiyar kiya na wo tadap rahi dil mein na wo rahi sozish ilaj kya tha ye kya tu ne gham-gusar kiya dikha ke jalwa-e-baatil ki ek jhalak ai husn khuda ke banda ko nahaq gunahgar kiya kisi ke bas ka dil-e-muztarib na tha lekin hamin ne khugar-e-andoh-e-intizar kiya khayal-e-ishq ne rahmat se bhi rakha mahrum ye kya kiya ki gunahon pe eatibar kiya kahe mein aa ke dil-e-na-subur ke hum ne tamam shab tere aane ka intizar kiya tumhein to khak mein milna tha mil gae aakhir jahan mein shauq abas un ko sharmsar kiya