kabhi charagh-e-sahar ko bhi hum bujhate nahin ki jis se kaam liya ho use bhulate nahin ye baat hum ko samajhne mein der ho gai thi ki sirf baat pe hi rishton ko nibhate nahin shurua se hi takalluf hai un se rishta mein salam karte hain par hath to milate nahin bas itni baat pe rutha hua hai yar mera main ruthta bhi hun to tum mujhe manate nahin 'zubair' zabt tumhaara kamal ka hai yar tamam zakhm ho khate magar batate nahin