wo aa jae to mera shahr-e-dil aabaad ho jae phir us ke ba'd wo mere liye sayyaad ho jae kisi se ishq ka izhaar khamoshi bhi hoti hai zaruri hai ki koi aadmi farhad ho jae ajab hoti hai haalat jab kabhi ye dil machalta hai kabhi ye shad hota hai kabhi nashad ho jae jo honi hai muqaddar mein wo ek din ho ke rahti hai gila kya kijiye duniya agar barbaad ho jae sunahre khwab to dekhe magar tabir kab nikli koi to aae din aisa ki ye dil shad ho jae sitam ka din bhi lamba aur alam ki raat bhi lambi bhala phir kyon na koi khanaman-barbaad ho jae suna hai tum bhi koi aadmi the ek zamane mein wo kya din the zara ahwal ai 'shahzad' ho jae