kabhi dahakti kabhi mahakti kabhi machalti aai dhup har mausam mein aangan aangan rup badal kar chhai dhup us ko zakhm mile duniya mein jis ne mange taza phul jis ne chahi chhanw ki chhatri us ke sar par chhai dhup jaane apna rup dikha kar kis ne parda tan liya kis ki khoj mein aawara hai angnai angnai dhup chadhte suraj ki kirnen hain daulat izzat shohrat shan aakhir aakhir har diwar se yaro dhalti aai dhup danish ki afzuni akasr karti hai dil ko gumrah tez ziyaada ho to chhine aankhon ki binai dhup mathe par sindur ki bindiya thaali mein kuchh surkh gulab nur ke tadke usha tat par puja karne aai dhup kaun badhae pyar ki pengen us nat-khat banjaran se phirne ko to nagri nagri phirti hai harjai dhup janam janam ke andhiyare ka jadu chhan mein tut gaya 'sabir' aaj meri kutiya mein chupke se dar aai dhup