jab sukhan mauj-e-takhayyul se rawani mange mujh se har lafz nai ruh-e-maani mange dil wo diwana ki dariya se tu pyasa laute samne mauj-e-sarab aae to pani mange hafiza zehn ka dar band kiye baitha hai dil bahalne ko koi yaad purani mange husn sar-ta-ba-qadam turfa-adai chahe ishq ta-hadd-e-yaqin sada-gumani mange aaina dekhun to 'sabir' ye guman hota hai aks mujh se wo khat-e-khal-e-jawani mange