kabhi daman-e-dil par dagh-e-mayusi nahin aaya idhar wada kiya us ne udhar dil ko yaqin aaya mohabbat-ashna dil mazhab-o-millat ko kya jaane hui raushan jahan bhi sham-e-parwana nahin aaya do-alam se guzar ke bhi dil-e-ashiq hai aawara abhi tak ye musafir apni manzil par nahin aaya meri jaanib se un ke dil mein kis shikwe pe kina hai wo shikwa jo zaban par kya abhi dil mein nahin aaya hayat-e-be-khudi kuchh aisi na-mahsus thi 'natiq' ajal aai to mujh ko apni hasti ka yaqin aaya