khun-e-dil ka jo kuchh ashkon se pata milta hai hum ko ji khol ke rone ka maza milta hai hum se is ishq-e-majazi ki haqiqat puchho ke ye but jab nahin milte to khuda milta hai shauq se kar mujhe pamal magar ye to bata khak mein milne se mere tujhe kya milta hai aaj tak hum ko to wo but na mila par na mila kahte hain dhundne wale ko khuda milta hai kund khanjar ki shikayat main karun kyun 'natiq' sach to ye hai ke mujhe yun hi maza milta hai