kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein wo shokh rang bhi dhime pade hawaon mein main tez-gam chali ja rahi thi us ki samt kashish ajib thi us dasht ki sadaon mein wo ek sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai na dub jae kahin tund-rau hawaon mein sukut-e-sham hai aur main hun gosh-bar-awaz ki ek wade ka afsun sa hai fazaon mein meri tarah yunhi gum-karda-rah chhodegi tum apni banh na dena hawa ki banhon mein nuqush panw ke likhte hain manzil-e-na-yaft mera safar to hai tahrir meri rahon mein