patthar se visal mangti hun main aadamiyon se kat gai hun shayad paun suragh-e-ulfat mutthi mein khak-bhar rahi hun har lams hai jab tapish se aari kisi aanch se yun pighal rahi hun wo khwahish-e-bosa bhi nahin ab hairat se hont katti hun ek tiflak-e-justuju hun shayad main apne badan se khelti hun ab taba kisi pe kyun ho raghib insanon ko barat chuki hun