kabhi dhire kabhi ujlat se kiya jata hai

kabhi dhire kabhi ujlat se kiya jata hai
kaam hijrat ka suhulat se kiya jata hai

ye wadiat hua jazba hai ata hai rab ki
ishq bhi koi zarurat se kiya jata hai

itna khud-sar na hua kar mere marjaan sifat
kuchh kinara bhi adawat se kiya jata hai

yahi duniya ka chalan jaan kar ai jaan-e-ghazal
rang khud par bhi zarurat se kiya jata hai

aakhir-e-shab ki khamoshi se yahi mujh pe khula
hijr mein samna wahshat se kiya jata hai

marhala-war mohabbat ka safar ho 'adil'
tai ye rasta ki riyazat se kiya jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close