dil-e-tabah bhi hai aalam-e-KHarab bhi hai

dil-e-tabah bhi hai aalam-e-kharab bhi hai
nigah-e-dost yahi waqt-e-inqalab bhi hai

do-atisha sar-e-rukhsar ho gae aansu
gulon pe qatra-e-shabnam nahin sharab bhi hai

nigah-e-shauq larazte hain tar chilman ke
talash kar inhi kirnon mein aaftab bhi hai

kahan se dekhiye mauj-e-surur uthti hai
nigah-e-naz bhi hai saghar-e-sharab bhi hai

khilaf-e-ahal-e-safina hi nakhuda se nahin
jabin-e-bahr pe larzan khat-e-itab bhi hai

hawa-e-dahr ne phir damanon pe dal diya
wo gard jis mein nihan bu-e-inqalab bhi hai

ai jastgan-e-rah-e-gham chale chalo aage
koi maqam ba-nam-e-bahisht-e-khwab bhi hai

yahi wo 'mani' hai salma-e-gondwana tera
jo faiz-e-rukh se tere sahib-e-kitab bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close