kabhi dimagh kabhi dil kabhi nazar mein raho ye sab tumhaare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho jala na lo kahin hamdardiyon mein apna wajud gali mein aag lagi ho to apne ghar mein raho tumhein pata ye chale ghar ki rahaten kya hain hamari tarah agar chaar din safar mein raho hai ab ye haal ki dar dar bhatakte phirte hain ghamon se main ne kaha tha ki mere ghar mein raho kisi ko zakhm diye hain kisi ko phul diye buri ho chahe bhali ho magar khabar mein raho