kabhi hamare liye tegh-e-be-niyam karo jo dastan hai tumhaari use tamam karo khulus aur mohabbat se nek kaam karo ye mai-kade hai sabhi ko sharik-e-jam karo jo mai-kade se nikale gae to kya hoga main mohtasib hun yahan mera ehtiram karo tumhaare qurb se dil ko sukun milta hai mere qarib hi baitho na kuchh kalam karo wo ek sham ki jis par nisar subh-e-azal wo ek sham kabhi tum hamare nam karo kahan najat ki surat hai qaid-e-hasti se kisi tarah isi zindan mein subh-o-sham karo 'habab' hasti-e-mauhum ka bharosa kya musafiron ki tarah bas yahan qayam karo