raqib-e-jaan nazar ka nur ho jae to kya kije ziyan dil ko agar manzur ho jae to kya kije wafa karne se wo majbur ho jae to kya kije mohabbat ruh ka nasur ho jae to kya kije wahi charche wahi qisse mili ruswaiyan hum ko unhi qisson se wo mashhur ho jae to kya kije zamane se gila kaisa jab apne jism ka saya andhere mein hamin se dur ho jae to kya kije khuda ko itna chahun to khuda ho jaega raazi magar wo aur bhi maghrur ho jae to kya kije munawwar jis ke dam se thin hamari zindagi 'mita' wahi mahtab gar mastur ho jae to kya kije