kabhi hansna kabhi rona kabhi nale hain tere kya kahun hae ki sab rup nirale hain tere chandni phul ki khushbu ka tasawwur karna nam kuchh bhi rahe ye sab hi hawale hain tere ab to is dil mein nahin kuchh bhi bacha tere siwa in mein yaadon ke nae zakhm jo pale hain tere dasht ka dasht tere hijr mein chhana main ne panw mere hain magar in mein bhi chhaale hain tere jism mein aag bhadakti hai teri qurbat se dekh hum bhi to yahan chahne wale hain tere aakhiri waqt talak koshishen kar kar dekhen hijr ke dam mein uljhe hue chaale hain tere