hai nau-jawani mein zoaf-e-piri badan mein rasha kamar mein kham hai zamin pe saya hai apne qad ka ki jada-e-manzil-e-adam hai yahi hai rasm-e-jahan-e-fani isi mein katti hai zindagani kabhi hai saman-e-aish-o-rahat kabhi hujum-e-gham-o-alam hai batao kyun chup ho munh se bolo guhar-fishan ho dahan to kholo aziz rakhte ho jis ko dil se usi ke sar ki tumhein qasam hai hatao aaine ko khudara labon pe aaya hai dam hamara banaw tum dekhte ho apna yahan hai dhadka ki raat kam hai tumhaare kuche mein jab se baithe bhulae dil se sabhi tariqe khuda hi shahid jo jaante hon kahan kalisa kahan haram hai abas hai koshish husul-e-zar mein khayal-e-fasid ko rakh na sar mein wahi milega azal se jo kuchh har ek ke nam par raqam hai farishte jannat ko le chale the pa tere kuche mein hum jo pahunche machal gae un se kah ke chhodo hamein yahi gulshan-e-iram hai juda ho jab yar apna saqi kahan ki sohbat sharab kaisi pilaen gar khizr aab-e-haiwan hum us ko samjhen yahi ki sam hai jilae ya hum ko koi mare bahisht de ya saqar mein dale rahega us but ka nam lab par hamare jab tak ki dam mein dam hai 'habib' ta-chand fikr-e-daulat kabhi to kar dil se shukr-e-neamat karim ko hai karam ki aadat magar ye ghaflat teri sitam hai