kabhi hanste nahin kabhi rote nahin kabhi koi gunah nahin karte hamein subh kahan se mile ki kabhi koi raat siyah nahin karte hathon se uthate hain jo makan aankhon se giraate rahte hain sahraon ke rahne wale hum shahron se nibah nahin karte bekar si mitti ka ek dher bane baithe rahte hain hum kabhi khak udate nahin apni kabhi dasht ki rah nahin karte ji mein ho to dar par rahte hain warna aawara phirte hain hum ishq us se karte hain magar koi ba-tankhwah nahin karte ye tera mera jhagda hai duniya ko bich mein kyun dalen ghar ke andar ki baaton par ghairon ko gawah nahin karte