kabhi hawa to kabhi KHak-e-rahguzar hona

kabhi hawa to kabhi khak-e-rahguzar hona
mere nasib mein likha hai dar-ba-dar hona

agar chalo to mere sath hi chalo lekin
kathin safar se ziyaada hai ham-safar hona

udas udas ye diwar-o-dar batate hain
ki jaise ras na ho un ko mera ghar hona

qadam uthe bhi nahin aur safar tamam hua
ghazab hai rah ka itna bhi mukhtasar hona

ye daur-e-kam-nazaran hai to phir hunar ka ziyan
jo ek bar na hona to beshtar hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close