jo is zamin pe rahte the aasman se log kahan gae wo mere sare mehrban se log ye be-charagh si basti ye be-sada galiyan har ek samt ye ujde hue makan se log sar-e-nawishta-e-taqdir khwab ki surat likhe hain ret pe kuchh harf-e-raegan se log ki ye asar to nahin un ki faqa-masti ka phir aaj tang hue hain jo apni jaan se log kuchh is mein hasb-e-zarurat kiye gae shamil kuchh hum ne hazf kiye apni dastan se log abhi na khatm hua tha fasana-e-hasti gurez karne lage apne darmiyan se log padi hai ret pe tuti hui wo kashti-e-khak ki ud rahe hain hawaon mein baadban se log tujhe to apni hi jaan ki padi hui hai 'kamal' guzar rahe hain yahan par kis imtihan se log