kabhi hota hai pareshan kabhi sharmata hai

kabhi hota hai pareshan kabhi sharmata hai
aaina mere khad-o-khal se ghabraata hai

rengte rengte ek aah mujhe khinchti hai
aur ek khauf mere jism mein dar aata hai

khud bhi main khak-zada khasta badan hun pa mujhe
apne kashkol ki haalat pe taras aata hai

yak-ba-yak ek charagh apni taraf khinchta hun
azhdaha dekhta hai aur lipat jata hai

kitna manus hai mujh se tere honton ka sukut
muskuraun to mere halq tak aa jata hai

rafta rafta mujhe jhinjhodta hai sabz-e-khuda
jaise dimak koi lakdi ki ghiza khata hai

sham ke waqt lahu rang-e-mohabbat ki tarah
koi aata hai rulata hai chala jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close